Slideshows:

   *  AB's biggest hits
     and flops
   *  The changing faces of
     the phenomenon



My Father's Son
He's special, my father: Abhishek Bachchan

The AB Mystique

•  Prakash Mehra
•  Shatrughan Sinha
•  Ramesh Sippy
•  Tinnu Anand
•  Salim Khan
•  Kader Khan

The Big Interview
•  Vir Sanghvi
•  Simi Garewal
•  Kiron Kher

There is no one like Amitabh
An analysis of the star's box office run.

The AB quotable quotes

AB, the women's man
•  Hema Malini
•  Neetu Singh
•  Shilpa Shetty
•  Raveena
•  Raakhee
•  Aruna Irani

The Almost AB

•  Shekhar Suman
•  Sudesh Bhosle

Cyber AB
The web's best on AB


AB on rediff.com!


    HOME | MOVIES| THE TOWERING INFERNO


    Quotable Quotes

    Zanjeer
    "Yeh tumhare baap ka ghar nahin, police station hai, is liye sidhi tahrah khade raho."

    Deewar
    "Sauda karna to aapko nahin aata, aap is building ke liye dus lakh bhi zyada maang lete, to bhi main kharid leta. Yeh building meri maa ke liye ek tohfa hai."

    "Haan, main sign karoonga, lekin pehle us aadmi ka sign le ke aao, jisne mera baap ko chor kaha tha; pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne meri maa ko gali deke naukri se nikal diya tha; pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne mere haath pe ye leekh diya tha... Uske BAAD, us ke baad, mere bhai, tu jo kahega us par main sign karoonga."

    "Sapne bhi samundar ki lahron ki tarah haqeeqat ki chattanon se takrakar toot jaate hain."

    Trishul
    "Sahi baat ko sahi waqt pe kiya jaye to uska maza hi kuch aur hai, aur main sahi waqt ka intezaar karta hoon."

    "Main paanch lakh ka sauda karne aya hoon, aur mere jeb me panch phooti kaudi bhi nahin hai!"

    "Jisne pachees saal se apni maa ko thoda thoda marte dekho ho, use maut se kya darana?"

    "Aur aap, Mr R K Gupta, aap mere najayaz baap hai. Meri maa ko aap se chahe zillat aur beizzati ke siva kuch na mila ho, lekin main apni maa, usi Shanti ki taraf se aap ki saari daulat vapas lauta raha hoon. Aaj aap ke paas aap ki saari daulat sahi, sab kuch sahi, lekin maine aap se jyaada garib aaj tak nahin dekha. Good bye, Mr R K Gupta."

    "You are right, Mr R K Gupta, yeh contract mujhi ko milegi. Aur haan, mere banaye hue colony mein agar aapko ghar chahiye, to taqalluf mat kijiyega, makaan aap ko mil jayega."

    Sharabi
    "Moochein ho to Nathulal jaise warna na ho."

    "Zindagi ka tambu teen bambuo pe khada hai."

    "Do aansoo is aankh se gire, phir do us aankh se. Phir do is aankh se, do us aankh se. Phir do is aankh se, do us aankh se. Kitne huye?...Nau lakh ke haar ke liye, barah lakh ke aansoo? Daddy hote to kehte: Vijay, tumhe business karna nahi aata?"

    Muqaddar Ka Sikander
    "Govardhan seth, samundar mein tairne waale kuoon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain."

    "Aur waise hi, main is ko yahan nahi maroonga, warna log kahenge Sikandar ne apne ilake me usey mara."

    Kaalia
    "Waqt ki bisaat pe kismat ne jo mohre bichaaye the, unka rukh palat gaya."

    "Hum jaha pe khade ho jaate hein, line wahin se shuru hoti hai."

    "Aap ne jail ki deewaron aur zanjeeron ka loha dekha hai, jailer sahab, Kaalia ki himmat ka faulaad nahi dekha."

    "Kallu se Kaalia ka safar shuru."

    Shahenshah
    "Rishte me to hum tumhare baap lagte hain, naam hai Shahenshah."

    Coolie
    "Bachpan se hain sar par Allah ka haath, aur Allah Rakha hai mere saath, baazu par hai saathsau chhiyaasi ka billa, bees number ka beedi peeta hoon, kaam karta hoon coolie ka aur naam hai Iqbal."

    "Jiske seene mein dil hi nahin, usse dil ka daura kya padega?"

    Don
    "Don ko pakadna mushkil hi nahin, naamumkin hai."

    Laawaris
    "Agar apni maa ka doodh piya hai to saamne aa."

    "Apun woh kutte ki dum hai, jo baara baras nalli ke andar daal ke, nalli tedi hoti, apun sidha nahin hota!"

    Kala Pathar
    “ Pain is my destiny and I can't avoid it"

    Chupke Chukpe
    "Jis tarah gobhi ka phool, phool hokar nahi hota, waise hi gainde ka phool bhi phool hokar phool nahi hota"

    Namak Halal
    "I can talk English, I can walk English, I can laugh English because English is a very phunny language. Bhairo becomes Byron because their minds are very narrow."

    Shakti
    “Narang saab, yeh kaam koi bhi insaan akele kar sakta tha, basharte ki use bhi meri hi tarah yeh pata hona chahiye ke woh is duniya mein akela aaya hai aur akela hi jaayega, isliye agar usey kuch karna hai toh woh bhi akele hi karna hoga."

    "Hamare desh mein kaam dhoondna bhi ek kaam hai."

    Mard
    "Jo mard hota hai, usey dard nahi hota."

    Sholay
    "Tumhara naam kya hai, Basanti?"

    "Ghadi ghadi drama karta hai, saala."

    Silsila
    "Main aur meri tanhaai -- aksar ye baatein karte hai...."

    Kabhi Kabhie
    "Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai."

    Satte Pe Satta
    "Daaru peene se liver kharab ho jaata hai."

    Agneepath
    "Pura naam, Vijay Dinanath Chauhan, baap ka naam, Dinanath Chauhan, maa ka naam, Suhasini Chauhan, gaon Mandwa, umar chhattis saal..."

    "Yeh telephone bhi ajeeb cheez hai -- aadmi sochta kuch hai, bolta kuch hai aur karta kuch hai."

    "Pagar badao... pandrasau rupiye me ghar nahin chalta, saala imaan kya chalega?"

    Major Saab
    "Don't mess with the army."

    Sooryavansham
    "Sooryavansh ek aag hai jisme doston ke liye jitni jyoti hai, dushmanon ke liye utni hi jwala. Bhoon dalo is kambaqt ko."

    Compiled by Sukanya Verma


    Tell us what you think of this article | Send this page to a friend


HOME | NEWS | CRICKET | MONEY | OLYMPICS | MOVIES | CHAT | BROADBAND | TRAVEL
ASTROLOGY | NEWSLINKS | BOOK SHOP | MUSIC SHOP | GIFT SHOP | HOTEL BOOKINGS
AIR/RAIL | WEDDING | ROMANCE | WEATHER | WOMEN | E-CARDS | EDUCATION
HOMEPAGES | FREE MESSENGER | FREE EMAIL | CONTESTS | FEEDBACK